Wednesday, November 18, 2009

Mehndi Hai Rachnewali from Zubeidaa

Mehndi hai rachnewali
Hathon mein gehri laali
Kahin sakhiyaan ab kaliyaan
Hathon mein khilne wali hain
Tere manko jeevan ko
Nai khushiyan milne wali hai

O hariyali banno
Le jane tujhko gooeeyan
Aane wale hain sahiyan
Thamenge aake baiyan, goonjegi sahnaiyan
Anganai anganai

Mehndi hai rachnewali
Hathon mein gehri laali
Kahin sakhiyaan ab kaliyaan
Hathon mein khilne wali hain
Tere manko jeevan ko
Nai khushiyan milne wali hai

Gayen maiya aur moti
Gayen behna aur bhabhi ki
Mehndi khil jaye, rang laye hariyali banno
Gayen phufi aur chachi
Gayen nani aur dadi ki
Mehndi man bhaye . saz jaye hariyali banno
Mehndi roop sanware ho, mehndi rang nikhare ho
Hariyali banni ke aanchal mein utrenge taare

Mehndi hai rachnewali
Hathon mein gehri laali
Kahin sakhiyaan ab kaliyaan
Hathon mein khilne wali hain
Tere manko jeevan ko
Nai khushiyan milne wali hai


4 comments: